“Ye Izzat Dar Gharana Hai” is a beautiful noha recited by Farhan Ali Waris. The lyrics are written by Zeeshan Abidi and the noha is beautifully composed by Zeeshan Abidi along with Farhan Ali Waris. This noha highlights the honor and sacrifices of the noble Ahlulbayt family, connecting listeners with deep love and respect for their sacred legacy.
Izzat Dar Gharana Lyrics
Ye Izat Dar Gharana Hai
Syed Sardar Gharana Hai
Ye Izat Dar Gharana Hai
Malka Hai Khadija Is Ghar Ki
Maalik Hasnain Ka Nana Hai
Ye Izat Dar Gharana Hai
Sari Aayaat e Qurani
Is Ghar Ki Shan Main Utri Hain
Ye Pak Muhammad Ka Ghar Hai
Yahan Fatima Zehra Rehti Hain
Aawaz Yahan Nichi Rakhna
Allah Ka Ye Farmana Hai
Jo Inka Dushman Hai Un Par
Allah Bhi Lanat Karta Hai
Is Ghar Main Rehne Walon Ka
Quran Main Shajra Milta Hai
Kaaba Karta Hai Salam Uss Ko
Is Baat Ko Jis Ne Mana Hai
Sardar Farishton Ka Aakar
Is Ghar Main Jhulata Hai Jhola
Haan Takht Aur Taaj Ko Thukra Kar
Aai Hain Kanezi Main Fizza
Nokar Jo Bhi Hai Iss Ghar Ka
Andaaz Uska Shahana Hai
Khali Nahi Jata Koi Bhi
Sab Ke Daman Bhar Jate Hain
Jab Rotiyan Bantti Hain Zehra
Yahan Aasman Wale Aate Hain
Batta Hai Tabaruk Ki Soorat
Iss Ghar Ka Jo Bhi Khana Hai
Jis Ghar Par Ho Ghazi Ka Alam
Karti Hain Fatima Zehra Karam
Hum Log Hussaini Hain Chhat Par
Kyun Na Lehraain Ye Parcham
Ye Alam Lagane Ka Maqsad
Dunya Ko Ye Batlana Hai
Sadqa Ye Diya Hai Bachon Ka
Bibi Ne Apne Nokar Ko
Farhan Enhi Ki Majlis Ne
Zeeshan Banaya Hai Ghar Ko
Mera Ghar Koi Aam Nahi Is Main
Zehra Ka Aana Jana Hai
Izzat Jo Badi Thi To
Musebat Bhi Badi Thi
Jo Ghar Tha Muhammad Ka
Wahan Aag Lagi Thi
Izzat Bhi Badi Ghurbat Bhi Badi
Jis Dar Pe Nabi Karte The Salam
Us Darwaze Ko Jalaya Gaya
Kabe Main Zuhoor Hua Jis Ka
Masjid Main Us Ko Qatl Kiya
Pehlo Main Nabi Ke Jo Tha Pala
Wohi Pehlo Main Na Dafan Hua
Jise Khuld Se Kapde Bhaije Gaye
Be Kafan Raha Us Ka Lasha
Jo Ghar Kosar Ka Maalik Tha
Usse Dasht Main Pyasa Maar Diya
Qaim Tha Parda Jin Se
Unhain Bazar Main Laye Be Parda
Hain Jin Ke Sadqe Main Dunya
Haye Un Pe Sadqa Phenka Gaya
Azad Karaye Jo Qaidi
Haye Wo Gharana Qaid Hua
عزّت دار گھرانہ
یہ عزت دار گھرانہ ہے
سید سردار گھرانہ ہے
یہ عزت دار گھرانہ ہے
ملکہ ہے خدیجہ اس گھر کی
مالک حسنین کا نانا ہے
یہ عزت دار گھرانہ ہے
ساری آیاتِ قرآنی
اس گھر کی شان میں اتری ہیں
یہ پاک محمد کا گھر ہے
یہاں فاطمہ زہرا رہتی ہیں
آواز یہاں نیچی رکھنا
اللہ کا یہ فرمانا ہے
جو ان کا دشمن ہے ان پر
اللہ بھی لعنت کرتا ہے
اس گھر میں رہنے والوں کا
قرآن میں شجرہ ملتا ہے
کعبہ کرتا ہے سلام اس کو
اس بات کو جس نے مانا ہے
سردار فرشتوں کا آ کر
اس گھر میں جھلاتا ہے جھولا
ہاں تخت اور تاج کو ٹھکرا کر
آئی ہیں کنیزی میں فضہ
نوکر جو بھی ہے اس گھر کا
انداز اُس کا شاہانہ ہے
خالی نہیں جاتا کوئی بھی
سب کے دامن بھر جاتے ہیں
جب روٹیاں بانٹتی ہیں زہرا
یہاں آسمان والے آتے ہیں
بٹتا ہے تبرک کی صورت
اس گھر کا جو بھی کھانا ہے
جس گھر پر ہو غازی کا علم
کرتی ہیں فاطمہ زہرا کرم
ہم لوگ حسینی ہیں چھت پر
کیوں نہ لہرائیں یہ پرچم
یہ علم لگانے کا مقصد
دنیا کو یہ بتلانا ہے
صدقہ یہ دیا ہے بچوں کا
بی بی نے اپنے نوکر کو
فرحان انہی کی مجلس نے
ذیشان بنایا ہے گھر کو
میرا گھر کوئی عام نہیں اس میں
زہرا کا آنا جانا ہے
عزت جو بڑی تھی تو
مصیبت بھی بڑی تھی
جو گھر تھا محمد کا
وہاں آگ لگی تھی
عزت بھی بڑی غربت بھی بڑی
جس در پہ نبی کرتے تھے سلام
اُس دروازے کو جلایا گیا
کعبے میں ظہور ہوا جس کا
مسجد میں اُس کو قتل کیا
پہلو میں نبی کے جو تھا پالا
وہی پہلو میں نہ دفن ہوا
جسے خلد سے کپڑے بھیجے گئے
بے کفن رہا اُس کا لاشہ
جو گھر کوثر کا مالک تھا
اُسے دشت میں پیاسا مار دیا
قائم تھا پردہ جن سے
اُنہیں بازار میں لائے بے پردہ
ہیں جن کے صدقے میں دنیا
ہائے اُن پہ صدقہ پھینکا گیا
آزاد کرائے جو قیدی
ہائے وہ گھرانہ قید ہوا
LyrixPK – FAQs & Trivia for "Izzat Dar Gharana"
🎙️ Recited: Farhan Ali Waris
🕊️ Noha: Izzat Dar Gharana
✍️ Poetry: Zeeshan Abidi
🎼 Composition: Zeeshan Abidi & Farhan Ali Waris
Who recited the noha "Izzat Dar Gharana"?
The noha "Izzat Dar Gharana" is recited by Farhan Ali Waris with heartfelt emotions.
Who wrote the poetry of "Izzat Dar Gharana"?
The words of "Izzat Dar Gharana" were written by Zeeshan Abidi.
Who composed the noha "Izzat Dar Gharana"?
The composition was beautifully done by Zeeshan Abidi & Farhan Ali Waris.
When was "Izzat Dar Gharana" released?
"Izzat Dar Gharana" was released for Muharram 2025 as part of Nohay 2025.
Is "Izzat Dar Gharana" part of Nohay 2025?
Yes, "Izzat Dar Gharana" is among the popular new Nohay 2025 releases.
0 Comments