Woh Madina woh asr e Aashura
Qabr e Ahmad se lipti thi Sughra
Dil pareshan udaas tha chehra
Band aankhein thin ghash ka aalam tha
Khawab mein jaane aisa kya dekha
Uthi ghabra ke pahunchi ghar Sughra
Umm e Salma se woh boli ro ro kar
Maine dekha suna hai baba ka sar
Dil mera baitha ja raha hai yahan
Yeh andhera kyun chha raha hai yahan
Waawela waawela waa vela
Surkh yeh aandhiyaan kyun chalti hain
Kyun falak se lahu barasta hai
Haye laakh se lahu barasta hai
Nani jaan Aap ki yeh khamoshi
Meri bechaini aur barhati hai
Is baraste huay lahu se mujhe
Mere Asghar ki khushboo aati hai
Dekho yeh surkh aandhi kyun mujhko
Us ka zakhmi gala dikhati hai
Umm e Salma ne kaha
Thaam ke dil sun Sughra
Jis ko tu lori sunati thi jhula kar jhula
Kitni shiddat se usay teer e laeen ne maara
Ruk gayi saans khula reh gaya munh pyaase ka
Maarne walon ko jab sar na mile ga us ka
Maar kar naiza nikaalenge woh laasha us ka
Wah Asghara Wah Asghara
Surkh yeh aandhiyaan kyun chalti hain
Haye Akbar Haye Akbar
Boli Sughra
Na jaane kyun Nani
Mere seene mein dard uthta hai
Maine dekha ke naujawan koi
Khaak par eriyan ragadta hai
Mere Akbar ki khair ho woh jawaan
Mere bhai jaisa dikhta hai
Umm e Salma ne kaha
Nahi tha woh tera bhai jo ab maara gaya
Woh tujhe lene nahi aaye ga ab ae Sughra
Us ke seene mein laeen tod chuka hai naiza
Is liye dard tujhe seene mein mehsoos hua
Jab tere baba ne kheencha hai woh naiza baahar
Aa gaya saath mein Akbar ka kaleja baahar
Haye Akbara Haye Akbara
Surkh yeh aandhiyaan kyun chalti hain
Inna lillaah
Boli woh
Mere Amu to khair se hain na
Un ke hote huay mere Akbar
Aur Asghar ko kis ne maar diya
Un ke baazu Khuda salamat rakhe
Roz karti hoon Nani main yeh dua
Umm e Salma ne kaha
Sughra ab us ke liye aur dua mat maango
Kat gaye haath woh darya ke kinare dekho
Teer barsaye gaye gher ke maara us ko
Kaise bin haath woh ghoday se gira mat poochho
Gurz jab maara kisi ne woh sambhal na paaya
Munh ke bal zeen se Abbas zameen par aaya
Haye Abbasa Haye Abbasa
Haye Qasim Haye Qasim
Haath aankhon pe rakha Sughra ne
Aur ghabra ke boli
Ae Nani
Dekhti hoon hamare kheemon mein
Le ke aaye hain Baba ek gathri
Is mein kya hai batayein aap mujhe
Kyun woh gathri hai khoon mein doobi
Umm e Salma ne kaha
Sughra is gathri mein Qasim ka tera laasha hai
Us ka ghodon se laeenon ne badan ronda hai
Khoon ki mehndi lagi tukdon mein woh bikhra hai
Chun ke Baba tera kheemon mein abhi laya hai
Furwah is gathri ke ab chaaron taraf ghoomti hai
Mere betay ka sarhaana hai kahan dhoondhti hai
Haye Qasima Haye Qasima
Aah bhar ke yeh poocha Sughra ne
Mere do bhai aur gaye thay wahan
Aur ghabra raha hai dil mera
Jab se dekha hai maine Nani jaan
Do janazon pe ro rahe hain sab
Aur khamosh hain Phoopi Amman
Umm e Salma ne kaha
Hain tere Aun o Muhammad ke woh laashein Sughra
Un ko bhi maar diya nehr kinare pyasa
Bhai par kar diya Zainab ne yeh keh kar sadqa
Yeh rahain na rahain zinda rahe bhai mera
Mar gaye Aun o Muhammad yeh kaha jab sab ne
Rona to door hai dekha bhi nahi Zainab ne
Haye Aun o Muhammad Haye Aun o Muhammad
Peet kar sar yeh boli phir Sughra
Ab to bas Baba reh gaye mere
Kya chhupaati hain aap chaadar mein
Khushboo Baba ki aa rahi hai mujhe
Asr ka waqt ja chuka phir bhi
Surkh hai kyun yeh aasmaan khoon se
Umm e Salma ne kaha
Sughra mar jao gi yeh keh ke hataaee chaadar
Umm e Salma ne jab ek sheeshi nikaali baahar
Dekha jab Sughra ne is sheeshi mein khaak aur lahoo
Bol uthi Aati hai Baba ke lahoo ki khushboo
Umm e Salma ne kaha
Maara gaya Baba tera
Tera zarbon se sitamgar ne gala kaat diya
Haye Hussain Haye Hussain
Teer barsaye kisi ne usay naiza maara
Shimar ne kheencha ke baalon se thappar maara
Is liye aandhiyaan chalti hain suno ae meri jaan
Dasht mein khaak urate hain Rasool Allah wahan
Sar shikasta hai Ali bhi hain wahin par Sughra
Aate hain zakhmi jigar le ke Hasan sabz qaba
Shimar sar kaat raha tha baith ke jab seene par
Saath Zainab ke Sakeena ne woh dekha manzar
Shab e Aashura se baithi thin tumhari daadi
Saaf baalon se woh karti thin zameen e muqatal ki
Shimar ne waar kiye haath rakha Zahra ne
Dekha Zainab ne gira khaak pe jab sar kat ke
Shimar ke haathon mein ab sar hai tere Baba ka
Is liye khoon barasta hai falak se Sughra
Bola Farhan se Zeeshan Tadapta hai dil
Waqt tha Fatima Sughra pe woh kitna mushkil
Khoon jab Nani ne Baba ka dikhaya ho ga
Apna ghar Sughra ko maqatal nazar aaya ho ga
0 Comments