"Mere Naseeb Main Karbala" is a soulful noha recited by Syed Raza Abbas Zaidi, with heartfelt poetry by Zeeshan Abidi. This emotional kalam captures the deep sorrow of a mourner who longs to visit Karbala but is unable to. It beautifully reflects the pain of distance, the love for Imam Hussain (a.s), and the spiritual connection to Arbaeen and Ziyarat.
Main Karbala Nahi Ja Saka Lyrics
Bohat Udaas Hoon Aur Dil Tarap Raha Hai Mera
Bari Tamanna Thi Dekhoon Ga Aap Ka Roza
Main Dekhta Raha Sab Ja Rahe Thay Ae Mola (a.s)
Kyun Iss Baras Bhi Nahi Ja Saka Main Karb-o-Bala
Mere Naseeb Mein Kya Karbala Nahi Mola (a.s)
Ghulam Aap Se Ab Tak Mila Nahi Mola (a.s)
Main Matami Hoon Bula Lein Mujhe Bhi Roze Par
Lahoo Bahaya Hai Apne Watan Mein Reh Ke Magar
Haram Mein Aap Ke Pursa Diya Nahi Mola (a.s)
Main Chal Raha Hoon Julooson Mein Arbaeen Ke Din
Hai Ye Bhi Aap Ke Hi Ishq Ka Safar Lekin
Najaf Se Karbala Paidal Chala Nahi Mola (a.s)
Chhupa Rakhi Hai Ziyarat Ki Aarzu Man Mein
Bohat Ghareeb Hoon Kuch Bhi Nahi Hai Daman Mein
Siwa Tumhare Kisi Se Kaha Nahi Mola (a.s)
Dikha Dein Mo'jza Ek Baar Karbala Aaon
Ya Main Bhi Sughra (s.a) Ki Tarah Watan Mein Mar Jaon
Aur Intezar Ka Ab Hosla Nahi Mola (a.s)
Haram Mein Aath Muharram Alam Uthana Hai
Maqam-e-Akbar (a.s) o Asghar (a.s) Bhi Mujh Ko Jana Hai
Main Khaima Gaah Bhi Ab Tak Gaya Nahi Mola (a.s)
Bula Lo Wasta Ghazi (a.s) Ke Zakhmi Chehray Ka
Zameen Pe Chehray Ke Bal Zein Se Jis Tarah Woh Gira
Kata Ke Haath Koi Bhi Gira Nahi Mola (a.s)
Yeh Zaireen Se Main Ne Suna Hai Rote Huye
Hussain (a.s) Aap Jahan Teen Roz Pyasay Rahe
Wahan Unhein Koi Pyasa Dikha Nahi Mola (a.s)
Hai Intezar Mein Zeeshan Abidi Kab Se
Habib (a.s) Se Kahein Aashur Par Bula Lein Mujhe
Raza Ka Naam Bhi Ab Tak Likha Nahi Mola (a.s)
میں کربلا نہیں جا سکا
بہت اُداس ہوں اور دل تڑپ رہا ہے میرا
بڑی تمنا تھی دیکھوں گا آپ کا روضہ
میں دیکھتا رہا سب جا رہے تھے اے مولا (ع)
کیوں اس برس بھی نہیں جا سکا میں کرب و بلا
میرے نصیب میں کیا کربلا نہیں مولا (ع)
غلام آپ سے اب تک ملا نہیں مولا (ع)
میں ماتمی ہوں بُلالیں مجھے بھی روضے پر
لہو بہایا ہے اپنے وطن میں رہ کے مگر
حرم میں آپ کے پرسہ دیا نہیں مولا (ع)
میں چل رہا ہوں جلوسوں میں اربعین کے دن
ہے یہ بھی آپ کے ہی عشق کا سفر لیکن
نجف سے کربلا پیدل چلا نہیں مولا (ع)
چھپا رکھی ہے زیارت کی آرزو من میں
بہت غریب ہوں کچھ بھی نہیں ہے دامن میں
سوا تمہارے کسی سے کہا نہیں مولا (ع)
دکھا دیں معجزہ اک بار کربلا آؤں
یا میں بھی صغریٰ (س) کی طرح وطن میں مر جاؤں
اور انتظار کا اب حوصلہ نہیں مولا (ع)
حرم میں آٹھ محرم علم اُٹھانا ہے
مقامِ اکبر (ع) و اصغر (ع) بھی مجھ کو جانا ہے
میں خیمہ گاہ بھی اب تک گیا نہیں مولا (ع)
بُلالو واسطہ غازی (ع) کے زخمی چہرے کا
زمیں پہ چہرے کے بل زین سے جس طرح وہ گرا
کٹا کے ہاتھ کوئی بھی گرا نہیں مولا (ع)
یہ زائرین سے میں نے سنا ہے روتے ہوئے
حسین (ع) آپ جہاں تین روز پیاسے رہے
وہاں انہیں کوئی پیاسا دکھا نہیں مولا (ع)
ہے انتظار میں ذیشان عابدی کب سے
حبیب (ع) سے کہیں عاشور پر بُلالیں مجھے
رضا کا نام بھی اب تک لکھا نہیں مولا (ع)
LyrixPK – FAQs & Trivia for "Mere Naseeb Main Karbala"
🎙️ Recited: Syed Raza Abbas Zaidi
🕊️ Noha: Mere Naseeb Main Karbala
✍️ Lyrics: Janab Zeeshan Abidi
🎼 Composition: Syed Raza Abbas Zaidi
Who recited the noha "Mere Naseeb Main Karbala"?
Syed Raza Abbas Zaidi has emotionally recited this noha with heartfelt passion and sincerity.
Who wrote the lyrics of "Mere Naseeb Main Karbala"?
The touching poetry was written by Janab Zeeshan Abidi, expressing deep spiritual longing for Karbala.
Who composed the noha "Mere Naseeb Main Karbala"?
This noha was composed by Syed Raza Abbas Zaidi, creating a deep emotional impact with its melody.
Is "Mere Naseeb Main Karbala" a Muharram noha?
Yes, it is a Muharram noha reflecting the sorrow of being unable to visit Karbala during Arbaeen and Muharram.
What is the message of "Mere Naseeb Main Karbala"?
This noha speaks to every azadar's heart, expressing the pain of separation from Karbala and the dream of Ziyarat.
0 Comments