Allah Muhammad Ali Fatima Hasan Hussain" is an emotional noha beautifully recited by Syed Raza Abbas Zaidi. The lyrics of this noha is written by Zeeshan Abidi and the composition is done by Syed Raza Abbas Zaidi.
Roman Urdu
Kar do karam, rakh lo bharam
Main ban ke sawaali aap ke dar par aaya hoon
Bin aap ke mera nahi koi sahaara, ho karam Khudaara
Daaman phelaaye baitha hoon kab se
Nahi lootoonga jab tak meri mushkil na ho aasaan
Allah Muhammad (s.a.w), Ali (a.s), Fatima (s.a), Hasan (a.s), Hussain (a.s)
Aap ke Asghar (a.s) ke jhoole se lipta hoon
Be-aulaadon ke haq mein yeh kehta hoon
Jo bhi jhoole se karta lekar jaaye
Us Bibi ki khaali godi hai woh bhar jaaye
Poori yeh dua ho
Aulaad ata ho
Be-aulaadon ko aap ke sadqay mil jaaye santaan
Jaanta hoon muflis hoon, ghar mein ghurbat hai
Karbobala jaane ki phir bhi hasrat hai
Door main ab Mola se reh na paaonga
Unki yaad mein ro ro kar mar jaoonga
Meri aas ko bhejein
Abbas (a.s) ko bhejein
Saqqa-e-Sakina (s.a) ki ghurbat par hoon qurbaan
Dekhta hoon apne bachon ka jab chehra
Hota hai ehsaas ghar na hone ka
Wasta deta hoon main jalte khaimon ka
Ho jaaye is saal mera bhi ghar apna
Jahan alam sajaaoon
Majlis karwaoon
Meri hasrat hai ke aap banein ek din mere mehmaan
Jald shifa mil jaaye sab beemaron ko
Maaon se milwa dein unke pyaaron ko
Jo maqrooz hain, qarz ada ho ab unka
Rahe salaamat maaon, behnon ka parda
Gham-e-Shah (a.s) ke siwa
Gham koi na aaye
Karta hoon dua mehfooz rahe har Molaai ki jaan
Mola Hussain (a.s) ko Akbar (a.s) ka pursa de kar
Hum ne Shab-e-Jummah yeh dua maangi ro kar
Chhod gaye hain hum ko jitne bhi pyaare
Rehmatain naazil kijiye unki qabron pe
Mushkil na hon raste
Barzakh ke safar se
Mere marhoomeen ki mahshar tak har manzil ho aasaan
Mola ne to pyaar sikhaya hai hum ko
Apna chahne wala banaya hai hum ko
Yaad yeh rakhna waqt koi bhi aa jaaye
Apna Husaini rishta toot nahi paaye
Parcham lehraao
Duniya ko bataao
Yeh wird hamesha saath karenge Hind aur Pakistan
Ghaibat mein hain Mola kitne saalon se
Waaqif hain phir bhi woh humare haalon se
Zinda rahein ya hum mar jaayein ya Zahra (s.a)
Dekhna hai har haal mein Mola ka chehra
Woh khud aa jaayein
Ya humein bulaayein
Woh saamne baith ke bolein sunao phir se Raza Zeeshan
اردو
کردو کرم رکھلو بھرم
میں بن کے سوالی آپکے در پر آیا ہوں
بِن آپکے میرا نہیں کوئی سہارا ہو کرم خدارا
دامن پھیلائے بیٹھا ہوں کب سے
نہیں لوٹونگا جب تک میری مشکل نا ہو آسان
اللہ محمدؐ علیؑ فاطمہؑ حسنؑ حُسینؑ
آپکے اصغرؑ کے جھولے سے لپٹا ہوں
بے اولادوں کے حق میں یہ کہتا ہوں
جو بھی جھولے سے کرتا لیکر جائے
اُس بی بی کی خالی گودی ہے وہ بھرجائے
پوری یہ دعا ہو
اولاد عطا ہو
بے اولادوں کو آپکے صدقے مل جائے سنطان
جانتاہوں مفلس ہوں گھرمیں غربت ہے
کربوبلا جانے کی پھر بھی حسرت ہے
دور میں اب مولا سے رہ نا پاؤنگا
اُنکی یاد میں روروکر مرجاؤنگا
میری آس کو بھیجیں
عباسؑ کو بھیجیں
سقائے سکینہؑ کی غربت پر ہونا ہے قربان
دیکھتا ہوں اپنے بچوں کا جب چہرا
ہوتا ہے احساس گھر نا ہونے کا
واسطہ دیتا ہوں میں جلتے خیموں کا
ہوجائے اس سال میرا بھی گھر اپنا
جہاں علم سجاؤں
مجلس کرواؤں
میری حسرت ہے کے آپ بنیں اک دن میرے مہمان
جلد شفا مل جائے سب بیماروں کو
ماؤں سے ملوادیں اُنکے پیاروں کو
جو مقروض ہیں قرض ادا ہو اب اُنکا
رہے سلامت ماؤں بہنوں کا پردہ
غمِ شہؑ کے سوائے
غم کوئی نا آئے
کرتا ہوں دعا محفوظ رہے ہر مولائی کی جان
مولا حُسینؑ کو اکبرؑ کا پرسہ دے کر
ہم نے شبِ جمعہ یہ دعا مانگی روکر
چھوڑگئے ہیں ہمکو جتنے بھی پیارے
رحمتیں نازل کیجئے اُنکی قبروں پے
مشکل نہ ہوں رستے
برزق کے سفر سے
میرے مرحومین کی محشر تک ہر منزل ہو آسان
مولاؑ نے تو پیار سکھایا ہے ہمکو
اپنا چاہنے والا بنایا ہے ہمکو
یاد یہ رکھنا وقت کوئی بھی آ جائے
اپنا حُسینی رشتہ ٹوٹ نہیں پائے
پرچم لہراؤ
دنیا کو بتاؤ
یہ ورد ہمیشہ ساتھ کرینگے ہند اور پاکستان
غیبت میں ہیں مولا کتنے سالوں سے
واقف ہیں پھر بھی وہ ہمارےحالوں سے
زندہ رہیں یا ہم مرجائیں یازہراؑ
دیکھنا ہے ہر حال میں مولاؑ کا چہرا
وہ خود آجائیں
یا ہمیں بَلائیں
وہ سامنے بیٹھکے بولیں سناؤ پھر سے رضا ذیشان
🎙️ Recited: Syed Raza Abbas Zaidi
🕊️ Noha: Allah Muhammad Ali Fatima Hasan Hussain
✍️ Poetry: Janab Zeeshan Abidi
🎼 Composition: Syed Raza Abbas Zaidi
Who recited the noha "Allah Muhammad Ali Fatima Hasan Hussain"
This heart-touching noha has been soulfully recited by Syed Raza Abbas Zaidi.
Who wrote the lyrics of "Allah Muhammad Ali Fatima Hasan Hussain"
The powerful and emotional poetry is written by Janab Zeeshan Abidi.
Who composed the noha "Allah Muhammad Ali Fatima Hasan Hussain"
The noha has been beautifully composed by Syed Raza Abbas Zaidi.
Is "Allah Muhammad Ali Fatima Hasan Hussain" a Muharram noha?
Yes, this is a deeply moving Muharram noha highlighting love and devotion for Ahlul Bayt (a.s).
What is the message of this noha?
The noha reflects the humble prayers of an azadar seeking healing, rizq, and closeness to the house of Imam Hussain (a.s).
0 Comments