YAAD Lyrics - Asim Azhar | Talha Anjum | Talhah Yunus

YAAD Lyrics - Asim Azhar | Talha Anjum | Talhah Yunus 

YAAD Lyrics - Asim Azhar has composed  Yaad song music while Yaad lyrics was written by Asim Azhar,Talha Anjum,and Talha Yunus, Yaad Song was recorded at Kazman Productions.

YAAD Lyrics - Asim Azhar | Talha Anjum | Talhah Yunus

♫Music Composer: Asim Azhar

♫Rap Part Composed by Young Stunners

♫Music Produced by Nafeel Ali

♫Co-Producer: Mo Khan

♫Lyrics: Asim Azhar, Talha Anjum, Talhah Yunus & Raamis Ali

♫Guitars by: Dilawar Hussain

♫Mixed by: Mo Khan

♫Mastered by: Andy Walter from Abbey Road

♫Rap Vocals Mixed by Jokhay

♫Recorded at: Kazman Productions


YAAD Lyrics

Tu ye jaane tere aage majboor hain

Kis baat ka gharoor 

Faida uthai ye

Kaisa ye suroor 


Deta saadayen kyun na tujhko sunai de

Tera dewana puri dunya gawai de

Mai laparwa sar phira par bewafa nae

Kab tak ye ashiq akhir apni safai de


Tu Haan Kar Kabhi

Mai badlu abhi

Hai meri museebat ye tera zameer

Chehra asal tu apna dikhaye jaye

Kyun phir mujhko satayi jaye


Teri bas yaad yaad yaad

Aye mujhe baar baar baar

Sone na de

Jeena na de

Aur kisi ka hone na de


Mein bola I’m going home but,

Asal main I’m going crazy, 

Double black for the pain,

Rollie rollie got me faded, 

You played me, haan theek hai,

I’ll be over you by the weekend,

Been in the game for 10,

Kalla mere dil ke kitni qareeb hai,

Guzaari hai gurbat mein raatein, 

Kitaabo mein milni nai baatein,

Anay walay atay ho ge,

Mujhay unki fikar hai jo nahi atay, 

Tere bin eid nai eid, chehra nai qaabil e deed,

Chehray pe fikar hai wazeh, tu chehray ko parhna tou seekh, 


Tu mujhko raastay de, mein tujhko badlay mein faaslay du,

Tu mujhko aasre de, mein dil ki tijori se raaz aik du,

Chahay phir saans lein, tere deedar aur maut qubool, 

Karu qurban tujhpe ye zindagi tou hogi har saans wusool,


Mein badlu tou banu phir kya, Kya!

Ke Tu mera ho ke bhi na

Got everything that I need, give you anything that you want, 

Yeah, I smoke trees, write songs,

Teri soch, all night long,

I could write all my wrongs,

But you’re gone and.


Raat ye sonay k liye magar hum soye nahi,

Karwat badalte rehte sochon mai hum khoye rahay,

Yaadon k bastay liye. ankhon ko bhigoyen nai,

Khud pe ye fakhar, woh mere jaane pe roye nai,

Yaar deewar bane, Rishton mai daraar dalay,

Guzre kia saal baray, Ghum on’ k pahaar banay,

Sab ki zabaan banen, Dil ye mazaar bane,

Aa na darbaar mere, likhte raat k chaar baje,


Lafzon k taajir, hum hijrat o hijr k aadi, barsa den ye baadal,

Zamane se pucho hum kitne bahadur, wo aj bhi samjhen humein pagal,

Khud dhunden jawaab, Kiu puchu sawaal, meri kia majaal?

Vehmo gumaan, Kia du mai misaal? Tu hai bemisaaal,

Har basti ujaagar,


Hum shab k musaafir, safar bhi mutaasir,

Mai Urdu ka Rakim, nazar bari qaatil,

Hustle meri wazeh, gawah mera Asim,

Mai dunya se ajiz, likh raha teri khaatir,

Raaten ye dhalti nahi,

Waqt ki tarah kyun badalti rahi,

Maanengay woh apni ghalti nahi,

Mai aaj bhi wuhi, koi jaldi nahi


I hope you like Yaad Lyrics by Asim Azhar, Talha Anjum, and Talhah Yunus please let us know through contact us page if you need the lyrics of any song.Thank you


Post a Comment

0 Comments