Madh e Zainab Lyrics | Mir Hasan Mir New Manqabat 2020 | Bibi Zainab Manqabat
Madh e Zainab Lyrics
Madh e Zainab labon pe jaari hai
Madh e Zainab labon pe jaari hai
Ayaton per khumar taari hai
Karke Zainab teri sana hum ne
Phir tahajjud mai shab guzari hai
Jis musalle pe aaye the Hasnain
Rab ne Zainab wahin utari hai
Sun ke khutba Ali bhi kehte hain
Meri har baat ab tumhari hai
Phir gaya hai yazeed ka chehra
Tum ne baiyat yun mun pe maari hai
Khud ko bole kaniz e Zainab wo
Jis ko parde ki pasdaari hai
Kaisi yeh hamd kirdgaari hai
Kat gaya sar namaz jaari hai
Mit gaye fatwe aur fatwa farosh
Sheh ka matam abhi bhi jaari hai
Kyun banata hai mun tabarre per
Kiya teri un se rishtedaari hai
Jab kiya mai ne matam e Shabbir
Maa ne meri nazar utari hai
Tere Akber ka hai karam Bibi
Yeh jo ab tak azaan jaari hai
Ae taqallum wo subh e qismat hai
Sham mai sham jo guzari hai
Manqabat Title | ☆ Madh e Zainab س ☆
Recited By | Mir Hasan Mir
Poetry By | Mir Takallum
Creatives | SAR Creative Alamdar Raza
Audio | ODS Karachi
Enjoy and stay connected with us for more latest lyrics
0 Comments